Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz
Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath
============
Dil K Rishto’n Ki Nazakat wo Kia Janey ‘Faraz’
Naram Lafzo’n Se Bhi Lag Jati Hyn Chotai’n Aksar
=============
Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai’n Kisi Ko Faraz
Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro’n Duao’n K Baad
=============
Us Ne Mujhe Chhor Dia To Kia Hua Faraz…
Meine bhi To Chora Tha Sara Zamana Us K Liye…
=============
Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,
Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye,
Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,
Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,
Na janay kis se pucha hai wafa ne pata mera,
Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,
Hum to andhere main sonay k aadi they,
Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.
Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz!
===============
Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi
Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi
Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass
Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi
Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans
Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi
====================
In barishon say dosti achi nahin faraz
Kacha tera makan hai kuch to hayal kar
================
Dob jao in ankho me "Faraz"
Bara hasseen samunder hy kodkoshi k liye
Meaning
Takbbur : Proud
Aajzii : Politeness
Nazakat : Softness
Taabeerai :