Showing posts with label Shaeyri. Show all posts
Showing posts with label Shaeyri. Show all posts

Friday, October 31, 2014

Hum narm pattoN ki shaakh the,magar

Hum narm pattoN ki shaakh the,magar...
kaate gaye haiN Itne, ki TALWAAR ho gaye...

Friday, April 12, 2013

बड़ी मुश्किल से कल रात मैंने सुलाया खुद को

बड़ी मुश्किल से कल रात मैंने सुलाया खुद को
इन आँखों को तेरे ख़्वाब का लालच दे कर
-------------------------------

नज़र बचा के गुज़रते हो तो गुज़र जाओ,
मैं आइना हूँ मेरी अपनी ज़िम्मेदारी है

Friday, March 29, 2013

Main raat bhar Jannat ki sair karta raha yaro.

Main raat bhar Jannat ki sair karta raha yaro.
Subhah aankh khuli to dekha sir maa ka kadmo me tha.

Hanste hue ye kahker, mera dushman mujhe chhod gaya tha
Tere apne hi bahut hain tujhe rulane ke liye.

Friday, September 7, 2012

Khidki ke baahar ki bheed ab samajh aa gayi.

Khidki ke baahar ki bheed ab samajh aa gayi.
Kuch kandha dene aaye hain, kuch lendaar hain.


Friday, August 24, 2012

Sardiyo ki ek shaam mein

Sardiyo ki ek shaam mein usne mera haath tham ke kaha,
"Itne garm haath wafa ki nishani hote hain"
Mujhe ab samajh aaya ki Us waqt uske hath thande kyu the :(

Friday, July 20, 2012

Main Sarr Jhuka ke Keh Doonga Apne Rabb Ke Saamne

Main Sarr Jhuka ke Keh Doonga Apne Rabb Ke Saamne ..
Hazaaron Gunah ho Gaye Mere Mola,Teri Rehmat Ke Naaz Pe .. !!


Sab ke farz hain yaad mujhe..
Bus aik apna ki farz main bhool gaya hun..


Dil-E-Nadan Ajab Justju Mei'n Hai
Tum Sey Phir Shauq-E-Guftgu Mei'n Hai
Juda Khud Sey Karu Tu Kaisey Karou'n,
Teri Chahat To Meri Gardish-E-Lahoo Mein Hai


koi na mila aisa jis per duniya luta dete
sub ne dhokha diya kis kisko bhula dete
dil ka dard dil me dabaye rakha he
bayan kiya hota to mehfil ko rula dete.

Friday, April 13, 2012

Badi Mushkil Se Seekha Hai khush Rehna

‎"Badi Mushkil Se Seekha Hai khush Rehna
Uske Bagair,"
"Par Suna Hai Ye Baat Use pareshan Bahut
Karti Hai...."



‎"...use sapne dekhna pasand hai
...mujhe sapne me wo
...use barish pasand hai
...mujhe barish me bhigti wo
...use hasna pasand hai
...mujhe hasti hui wo
...use chup rahna pasand hai
...mujhe bolti hui wo
...use roothna pasand hai
... mujhe ruthi hui wo
...use mai kvi pasand nahi aaya
...or mujhe pasand ai to
sirf wooooooooo..."


Hoti Hai Lakh Ghumo Ki Dawa Neend B Magar,
Hote Hain Aise Ghum Bhi Jo Sone Nahi Dete !!!


ZINDAGI KA BARA NAAM SUNA KARTEY THEY
EK KAMZOR SI HICHKI K SIWA KUCH NAHI

Friday, February 10, 2012

Sharab peende mujhe masjid me baith ker
Ya voh jagah bata, jahan khuda na ho

....................................Galib

Masjid khuda ka ghar hai peene ki jagah nahi
Kafir(Nastik) ke dil me ja wahan per khuda nahi

....................................Iqbal

Kafir ke dil se aaya hun main ye dekhker
Khuda maujood hai wahan per use pata nahi

....................................Faraz

Friday, January 6, 2012

Chhod ye zakhm kahan se mile hain mujh ko

Chhod ye zakhm kahan se mile hain mujh ko
Jindagi tu itna bata aur kitna safar baki hai.

Barso baad bhi zid ki aadat na badli unki
kash hum unki aadat hote

Aik zara si baat per voh is tarah rooth ker chal diye
Jaise barso se unhe kisi bahane ki talash thi

Parindo ki fitrat se aaye the voh mere dil me
Zara pankh nikal aaye to aashyana chhod diya

Uske ek ek lamhe ki hifazat karna ae khuda
Masoom sa chehra hai , udas ho to achcha nahi lagta

Hairaan tha samandar bhi mere doobne per
Ye kaisa shakhash hai, kisi ko pukarta hi nahi


................ Collection/Written by Parth Mishra


Jindagi jab bhi teri Bazm me laati hai hume
Ye Zami chand se behtar nazar aati hai hume

Hum koshish karenge to sudhar jaayenge.
Par sugar gaye to kahan jaayenge.
Pura maashra hyi bigde logo ka hai.
Inme rahenge to phir se bigad jaayenge.

Tabssum ko tere chehre per dekhe hue aik arsa beet gaya
Na jaane kaunsi khata thi voh jisne zakhm ko nasoor bana diya

तेरी बेरुखी ने छीन ली हैं शरारतें मेरी..............लोग समझते हैं मैं सुधर गया हूँ......................

Dekho kya haseen katil hai mera
Mujh se hi poochta hai katal kaise karun.


Voh yaad aane lagen hain
Jinhe bhulane me zamane lagen hain

Suna hai voh hame bhulane lagen hain
Kya hum unhe yaad aane lagen hain

Jinhe naam sunna bhi ganwara na tha mera
Voh gajal meri gungnane lagen hain

Voh itna ruthe hain humse umer bhar
Ki ab log hamari hansi udane lagen hain

Voh samjhte hain ki voh hi preshan hain akele
Unhe kya khaber ki farishte(Maut ke) ab hame bhi nazar aane lagen hain



Har waqt satati hai ye fiker mujhe mere yaar,
Tumsa na zamin per koi kahin duja ho jaaye.

Mere siwa mere yaar, na dekhe tujhe koi aur.
Gar koi tujhe dekhe voh pagal ho jaaye.

Yun bikhera na karo zuflen sare rah tum
Kahin din me na andhera ho jaaye.

Tum itna mujhe chahoo tootker mere yaar.
Ke teri chahat meri chahat ker brabar ho jaaye.




Game hayat ko agar hans kar nahi kata.
To yaad rakho ki rone ko ye sari umer bhi kam hai


Bada garoor hai suraj ko apni tapish per
Voh agar zulfen bikher de to sham ho jaaye.

.............. Collection/Written by Khaleek Ahmad

Monday, August 8, 2011

Faraz Hi Faraz

Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz
Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath

============

Dil K Rishto’n Ki Nazakat wo Kia Janey ‘Faraz’
Naram Lafzo’n Se Bhi Lag Jati Hyn Chotai’n Aksar

=============

Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai’n Kisi Ko Faraz
Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro’n Duao’n K Baad

=============

Us Ne Mujhe Chhor Dia To Kia Hua Faraz…
Meine bhi To Chora Tha Sara Zamana Us K Liye…

=============


Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,

Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye,
Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,

Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,
Na janay kis se pucha hai wafa ne pata mera,

Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,
Hum to andhere main sonay k aadi they,

Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.
Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz!

===============

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass
Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans
Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi

====================

In barishon say dosti achi nahin faraz
Kacha tera makan hai kuch to hayal kar


================


Dob jao in ankho me "Faraz"
Bara hasseen samunder hy kodkoshi k liye



Meaning
Takbbur : Proud
Aajzii : Politeness
Nazakat : Softness
Taabeerai :

Friday, June 3, 2011

Fasane Dhoondte hain

Kitaabon Mein Mere Fasaane Dhoondte Hain
Naadaan Hain Guzre Zamaane Dhoondte Hain


Jab Woh The....!! Talaash-E-Zindagi Bhi Thi
Ab To Maut Ke Thikaane Dhoondte Hain..!!


Kal Khud Hi Apni Mehfil Se Nikaala Tha..!!
Aaj Mujh Se Deewaane Dhoondte Hain...!!


Musaafir Be-Khabar Hain Teri Aankhon Se
Tere Shahar Mein Maikhaane Dhoondte Hain


Tujhe Kya Pataa Ae Sitam Dhaane Waale
Hum To Rone Ke Bahaane Dhoondte Hain...!!


Unki Aankhon Ko Youn Dekho Na
Naye Teer Hain...!! Nishaane Dhoondte Hain..!!

Thursday, May 26, 2011

Suno..! aay chand c larki.

Abhi tum titliyaan pakro.

Ya phir Guriyon sy khelo tum...!

Ya phr masoom c Aankhon sy dheron khwab daikho tum..

Faraz-o-Faiz-o-Mohsin, ki kitaben mat abhi prhna..,

Ye sb lafzon k sahir hein.

Tumhein uljha k rakh dein gy

Tumhein Maloom he kab hai..

Mohabat k libady mein..

Hawas aur Hirs hoti hai..'

Ye insanon ki dunya hai.

Magr in sy kaheen barh kr.., yahan wehshi drinday hein...'

Wo wehshi jin ki Aankhon me..

Machalty piyar k peechy.

Hawas aur Hirs hoti hai..'

Abhi kachi kalii ho tum...,

Abhi kaanton sy mat khelo..,

Abhi apni Hatheli par..

Kisi ka Naam mat likho...,

Abhi apni kitabon mein

gulaabi phool mat rako...!

Abhi tum titliyan pakro

Abhi tum guriyoun sy khailo.

Friday, April 1, 2011

Mohabbat

Jisne humko chaha hum use chah na sake
Jisko chaha use hum pa na sake
Mohabbat naam hai dill tutne ka shayed
Humne kisi ka toda aur apna hum bacha na sake

Manjilen bhi uski thi rasta bhi uska tha
Ek hum hi akele the rasta bhi uska tha
Sath chalne ki soch bhi uski thi
Phir rasta badalne ka fainsla bhi uska tha
Hum samajh na paaye usko jeete jee.
Log to uske the kya khuda bhi uska tha