1. Har beemari Allah Tala ki taraf se hoti hey or momin k liye gunaho ka kaffara ban jati hey. Rasool (sallallahoalehewasallam) ka farman hey k [COLOR="Sienna"]"Allah Tala jis bande k sath bhalai karna chahta hey' to ise apni taraf se beemari me mubtila kardeta hey"
2. Hame bimari or sehat dono halto me Allah Tala ka shukar ada karna chahiye. Nabi (sallallahoalehewasallam) ne takleef or bimari ki waja se mot ki arzoo karne se mana farmaya hey..
Beemari azmaaish bhi hey or gunaho ka kaffara bhi. Hame har halat me sabar o shukar ada karna chahiye. in do kamo se Allah Tala gunah bhi mita deta hey Or akhrat me ajr e azeem bhi ata farmaengey.. (inshaallah).
3. Allah Tala farmate hen.. "Hum zaroor azmaengey khof o hiraas, bhook ki takleef, jan o maal k nuksaan or phalo ki kami k sath. Aey Rasool (sallallahoalehewasallam) sabar karne walo ko khushkhabri den jinhe jab koi museebat pohachti hey to keh uthte hen (Innalillahe wainna alehe rajeoon) "hum Allah he k liye hen or hume ishe ki taraf jana hey.. (Sure Al BAqra).
4. Hame koi bhi beemari ya museebat ane par sabar se kaam lena chahiye take hamara ajar zaya na ho. or ye bhi khayal rakhna chahiye k ese moke par zuban se koi gila shikwa bhi na kiya jaye jis ki waja se ajar zaya ho jaye kyu k agar hum sabar na bhi karen to tab bhi hamari beemari us he waqt khatam hogi jab Allah Tala ka hukum hoga..
5. Agar hakeekat me dekha jaye to beemari Allah Tala ka behtreen tohfa hey. BEemari k waqt sirf or sirf Allah Tala par he tawakkal karna chahiye. jesa k Quran Pak me Allah Tala ne Sayyadna Ibraheem (alehsalam) ka makOOla nakal kya hey.. (OR jab me beemar hota hooN to wohi (Allah Tala) mujhe shifa deta hey).. (Sure Al shuara).
6. Or bimari ka ilaj zarur karwana chahiye Lekin ye hume yakeen hona chahiye k shifa sirf Allah he k hath me hey. Dawa bhi jab tak na asar karegi jab tak Allah ka hukum na hoga..
7. hadees me ata hey k RasOOl (sallallahoalehewasallam) ne farmaya : "Aey Allah k bando! ilaaj kya karo kyuke Allah Tala ne koi esi beemari nahi utari jis ka ilaaj na utara ho.. (Abu Dawood Shareef)..
8. HAR MAREEZ PAR 7 BAAR "BISMILLAHIRRAHMAANNIRRAHEEM" K SATH SURE "FATIHA" PARH KAR DAM KAREN.
9. Quran kareem men shifa hey. Mareez Rozana kam azkam 1 safa tilawat kare. Inshaallah har beemari se shifa milegi.
10. Shehed me shifa hey. shehed ka 1 spoon rozana pani k sath subh nashte se pehle piyen.
No comments:
Post a Comment