Friday, January 6, 2012

Chhod ye zakhm kahan se mile hain mujh ko

Chhod ye zakhm kahan se mile hain mujh ko
Jindagi tu itna bata aur kitna safar baki hai.

Barso baad bhi zid ki aadat na badli unki
kash hum unki aadat hote

Aik zara si baat per voh is tarah rooth ker chal diye
Jaise barso se unhe kisi bahane ki talash thi

Parindo ki fitrat se aaye the voh mere dil me
Zara pankh nikal aaye to aashyana chhod diya

Uske ek ek lamhe ki hifazat karna ae khuda
Masoom sa chehra hai , udas ho to achcha nahi lagta

Hairaan tha samandar bhi mere doobne per
Ye kaisa shakhash hai, kisi ko pukarta hi nahi


................ Collection/Written by Parth Mishra


Jindagi jab bhi teri Bazm me laati hai hume
Ye Zami chand se behtar nazar aati hai hume

Hum koshish karenge to sudhar jaayenge.
Par sugar gaye to kahan jaayenge.
Pura maashra hyi bigde logo ka hai.
Inme rahenge to phir se bigad jaayenge.

Tabssum ko tere chehre per dekhe hue aik arsa beet gaya
Na jaane kaunsi khata thi voh jisne zakhm ko nasoor bana diya

तेरी बेरुखी ने छीन ली हैं शरारतें मेरी..............लोग समझते हैं मैं सुधर गया हूँ......................

Dekho kya haseen katil hai mera
Mujh se hi poochta hai katal kaise karun.


Voh yaad aane lagen hain
Jinhe bhulane me zamane lagen hain

Suna hai voh hame bhulane lagen hain
Kya hum unhe yaad aane lagen hain

Jinhe naam sunna bhi ganwara na tha mera
Voh gajal meri gungnane lagen hain

Voh itna ruthe hain humse umer bhar
Ki ab log hamari hansi udane lagen hain

Voh samjhte hain ki voh hi preshan hain akele
Unhe kya khaber ki farishte(Maut ke) ab hame bhi nazar aane lagen hain



Har waqt satati hai ye fiker mujhe mere yaar,
Tumsa na zamin per koi kahin duja ho jaaye.

Mere siwa mere yaar, na dekhe tujhe koi aur.
Gar koi tujhe dekhe voh pagal ho jaaye.

Yun bikhera na karo zuflen sare rah tum
Kahin din me na andhera ho jaaye.

Tum itna mujhe chahoo tootker mere yaar.
Ke teri chahat meri chahat ker brabar ho jaaye.




Game hayat ko agar hans kar nahi kata.
To yaad rakho ki rone ko ye sari umer bhi kam hai


Bada garoor hai suraj ko apni tapish per
Voh agar zulfen bikher de to sham ho jaaye.

.............. Collection/Written by Khaleek Ahmad

No comments:

Post a Comment