Friday, June 15, 2012

Charity

Hazrat Mohammad (S.A.W) Ne Irshaad Farmaya:

“Logon Se Miltay Waqt Muskurana,
Andhay Ko Rasta Dikhana,
Raste Se Pathar Uthana, Sulah Karna,
Aur Neki Ki Baat Batana Bhi Sadqa Jaria(Charity) Hai.”


Hazrat Mohammad (S.A.W) Ne Irshaad Farmaya:

“Agar Kisi Insan Main 99 Buraiyan Hon Aur 1 Achayi Ho,
To Us Ki Buraiyon Ko Nahi Balkay 1 Achayi Ko Bayaan Karo.”


Hazrat Mohammad (S.A.W) Ne Irshaad Farmaya
jis ka mafhome hai

“Jo Apne Walldain(Parents) Ke Liye Dua Karna Chor De,
Uss Ke Liye Rizq Tang Kar Diya Jata Hai.”


“Agar Koi Tumhain ‘Sab Se Bura’ Kahay Aur Tumhain
‘Gussa’ Aa Jaye To Jaan Lo Ke Tum ‘Sab Se Buray Ho.”
“(Hazrat Sufyan Sori)”

Allah farmate hai bande tu kuch chahta hai. mai kuch chahta hu .hota wahi hai jo mai chahta hu ager tu apni chahat ko mere tabe karde .to hoga wahi jo tu chahta hai


" Kis Tarha Pata Lagaya Jaey ke insaan par aany wali musibat Saza hay Ya Azmaish?
to ye k musibat ALLAH se Door Kary to Saza
Aur Jab Qareeb Kary to who Azmaish hay "(HAZRAT ALI R.A)

Ye na socho k ALLAH"DUAA" foran qabool kyun nahi karta,
Ye shukar karo k ALLAH Pak hamaray Ghunahoon ke saza foran Nahien data.
(Hazrat Ali)(R.A)

No comments:

Post a Comment