Hazrat Moosa Nay Ek Dafa Allah Say Poocha Jannat Main Meray Saath kon Hoga?
Irshaad Hua "Falaan Qureshi Hoga"
Aap Kuch Hairaan Huay Or Us Qureshi Ki Talaash Main Chal Paray.
Wahan Dekha Too Ek Qureshi Apni Dukaan Main Meat Baichnay Main Masroof Tha.
Apna Karobaar Khatam Kar kay Us Nay Meat Ka Ek Tukra Kapray Main Lapeta
Or Ghar Ki Taraf Rawana Hogaya.Hazrat Moosa Nay Is Qureshi Kay Ghar Kay Baray
Main Mazeed Kuch Jannay Kay Liye Batour Mehmaan Ghar Chalnay Ki Ijazat Chahee.
Ghar Pohanch Kar Qureshi Nay Meat Ko Pakaya Phir Roti Paka Kar Us Kay Tukray Shourbay
Main Naram Kiye Or Doosray Kamray Main Chala Gaya.Jahan Ek Nihayat Kamzoor Burhya
Palang Par Laitee Hui thee.
Qureshi Nay Bamushkil Ussay Sahara Day kar Uthaya Or Ek Ek Luqma Us Kay Moonh Main Daita Raha
Jab Us Nay Khana Tamaam Kiya Too Burhya Ka Moonh Saaf Kiya. Burhya Nay Qureshi Kay Kaan Main
Kuch Kaha Jisay Sun Kar Qureshi Muskaraya.Or Burhya Ko Wapis Lita Kar Bahar Aagaya.
Hazrat Moosa Jo Dekh Rahay Thay,Aap Nay Qureshi Say poocha "Yeh Aurat Kon Hai Or Us Nay
Teray Kaan Main Kya Kaha? Jis Par Too Muskara Diya?".
Qureshi Bola "Aaye Ajnabi! Yeh AURAT Meri Maa Hai.Ghar Par Aanay Kay Baad Main Sab Say Pehlay
Is Kay Kaam Karta Hoon.Yeh Roz Khush Ho Kar Roz Mujhay Dua Daiti Hai Kay Allah Tujhay Jannat
Main Hazrat Moosa Kay Saath Rakhay. Jis Par Main Muskara Daita Hoon Kay Bhala Main Kahan
Or ,MOOSA KALEEMULLAH Kahan?"
No comments:
Post a Comment